aaj unhen kuchh is tarah ji khol kar dekha kiye
ek hi lamhe mein jaise umr-bhar dekha kiye
dil agar betab hai dil ka muqaddar hai yahi
jis qadar thi hum ko taufiq-e-nazar dekha kiye
KHud-faroshana ada thi meri surat dekhna
apne hi jalwe ba-andaz-e-digar dekha kiye
na-shanas-e-gham faqat dad-e-hunar dete rahe
hum mata-e-gham ko ruswa-e-hunar dekha kiye
dekhne ka ab ye aalam hai koi ho ya na ho
hum jidhar dekha kiye pahron udhar dekha kiye
husn ko dekha hai main ne husn ki KHatir 'hafiz'
warna sab apna hi meyar-e-nazar dekha kiye
Ghazal
Aaj unhen kuchh is tarah ji khol kar dekha kiye
Hafeez Hoshiarpuri