aaj tak daman na bhiga tha bhigona paD gaya
kis ne kis ka sath chhoDa hai ki rona paD gaya
dard ka har ek ke ehsas kanTa hi sahi
ye wo kanTa hai jise dil mein chubhona paD gaya
hath jab aai nahin manzil to ji ghabra uTha
aur kuchh bhaTke huon ke sath hona paD gaya
raushni kuchh yun ghuTTi tanhai kuchh aisi baDhi
apne sae ko bhi tariki mein rona paD gaya
sahte sahte gham pe gham aadi ghamon ke ho gae
karwaTon par karwaTen badlin to sona paD gaya
sunte the 'mahshar' kabhi patthar bhi ho jata hai mom
aaj wo aae to palkon ko bhigona paD gaya
Ghazal
Aaj tak daman na bhiga tha bhigona paD gaya
Mahshar Inayati