aaj shayad zindagi ka falsafa samjha hun main
hun zarurat zindagi ki is liye zinda hun main
hai meri taKHliq mein unsur baghawat ka koi
jis jagah pabandiyan thin us jagah pahuncha hun main
ek ajab sa hai talluq us ke mere darmiyan
aisa lagta hai ki us ki zat ka hissa hun main
hain numayan jis ke chehre par haqiqat ke nuqush
tere shahr-e-KHwab mein wo aadmi tanha hun main
chha gaya hun KHauf ban kar apne hi aasab par
aur kabhi be-KHauf ho kar KHauf se nikla hun main
hain zamin par har taraf mere hi qadmon ke nishan
roz-e-awwal se hi 'salim' koi aawara hun main
Ghazal
Aaj shayad zindagi ka falsafa samjha hun main
Salim Shuja Ansari