aaj phir dasht koi aabla-pa mange hai 
KHar bhi tazgi-e-rang-e-hina mange hai 
zabt-e-gham dast-ras-e-ah-e-rasa mange hai 
ye andhera tere aariz ki ziya mange hai 
jaan-dahi tishna-labi aabla-pai be-sud 
dasht-e-ghurbat to kuchh is ke bhi siwa mange hai 
phunk raha hai gham-e-hasti se wajud-e-insan 
zindagi ab tere daman ki hawa mange hai 
aap chupke se use zahr ka piyala de den 
jo riwayat se baghawat ka sila mange hai 
chand sine se lagae hai mera naqsh-e-qadam 
aur suraj meri sanson ki sada mange hai
        Ghazal
Aaj phir dasht koi aabla-pa mange hai
Bakhtiyar Ziya

