اردو हिंदी
Aaj muqabla hai saKHt mir-e-sipah ke liye | Shaahi Shayari
aaj muqabla hai saKHt mir-e-sipah ke liye

Ghazal

Aaj muqabla hai saKHt mir-e-sipah ke liye

Aziz Hamid Madni

;

aaj muqabla hai saKHt mir-e-sipah ke liye
ho gae sar kai qalam ek kulah ke liye

taza-ruKHi-e-kaenat DhunD rahi hai aaina
justuju hai hazar mein ek gawah ke liye

khul hi gaya tilism-e-dost ain visal mein ki thi
ek shab-e-hijr zindagi lazzat-e-ah ke liye

ek shab-e-KHud-numai mein ismat-e-be-maqam ne
kitne sawal kar liye ramz-e-gunah ke liye

surat-e-gard karwan hai gham-e-manzil-e-jahan
KHwab-e-junun-e-taza-kar chahiye rah ke liye

aatish-e-kimiya-giran kaam na aa saki koi
surma hai KHak-e-dil meri chashm-e-siyah ke liye

meri KHud-agahi bhi ki tere visal ne talab
hijr-e-hazar-shab ke baad ek gunah ke liye