aaj meri palkon par qudsiyon ka mela hai
ishq teri mahfil mein dil kahan akela hai
huren teri yaadon ki jannaten sajati hain
un se aaj ye kah do zindagi jhamela hai
aaina sanwarta hai un ke dekhe jaane se
rang-o-nur kahta hai raushni ka rela hai
dard dil ko bhate hain jaane kyun lubhate hain
aankh ke sitaron ka sajta roz mela hai
zindagi ki rahon mein zindagi nahin milti
roz-o-shab ke mele mein jaane kya jhamela hai
ishq ki tamanna thi ishq ki tamanna hai
ishq hi ki rahon mein mastiyon ka mela hai
KHud-shanas kya hoga dil agar use DhunDe
wasl ki tamanna mein kis qadar jhamela hai

Ghazal
Aaj meri palkon par qudsiyon ka mela hai
Owaisul Hassan Khan