aaj mehndi lagae baiThe hain
KHub wo rang lae baiThe hain
mere aate hi ho gae barham
kuchh kasi ke sikhae baiThe hain
tegh khinchi hai qatl par mere
hath mujh se uThae baiThe hain
main shikayat jafa ki karta hun
chupke wo sar jhukae baiThe hain
dum churae hue paDe hain hum
wo jo baalin pe aae baiThe hain
imtihan ko kaha to bole wo
hum tumhein aazmae baiThe hain
kas ko nazron se aaj utarenge
kyun wo tewari chaDhae baiThe hain
dekhiye kab wo shama-ru aae
sham se lau lagae baiThe hain
Talna wasl ka jo hai manzur
KHud se KHud munh thuthae baiThe hain
sada-pan mein hazar jauban hai
baal khole nahae baiThe hain
kaun pahlu se uTh gaya 'anjum'
aap kyun dil dabae baiThe hain
Ghazal
Aaj mehndi lagae baiThe hain
Mirza Asman Jah Anjum