aaj mahsur hain dimak-zada diwaron mein
hum bhi shamil the kabhi shahr ke memaron mein
aaKHirash hath jala hi liye apne hum ne
jaane kyun phul nazar aate the angaron mein
ye kisi se na kaha lal-o-jawahar the hum
pattharon ki tarah bikte rahe bazaron mein
der tak dastaken deti rahi qismat dar par
aur hum uljhe rahe apne hi pindaron mein
zindagi tere adakar the kaise hum bhi
samne aate rahe hain kai kirdaron mein
waqt hai kar lo marammat abhi ghar ki 'betab'
abhi rauzan nahin zahir hue diwaron mein

Ghazal
Aaj mahsur hain dimak-zada diwaron mein
Pritpal Singh Betab