aaj kya haal hai yarab sar-e-mahfil mera
ki nikale liye jata hai koi dil mera
soz-e-gham dekh na barbaad ho hasil mera
dil ki taswir hai har aaina-e-dil mera
subh tak hijr mein kya jaaniye kya hota hai
sham hi se mere qabu mein nahin dil mera
mil gai ishq mein iza-talabi se rahat
gham hai ab jaan meri dard hai ab dil mera
paya jata hai teri shoKHi-e-raftar ka rang
kash pahlu mein dhaDakta hi rahe dil mera
hae us mard ki qismat jo hua dil ka sharik
hae us dil ka muqaddar jo bana dil mera
kuchh khaTakta to hai pahlu mein mere rah rah kar
ab KHuda jaane teri yaad hai ya dil mera
Ghazal
Aaj kya haal hai yarab sar-e-mahfil mera
Jigar Moradabadi