اردو हिंदी
Aaj kis KHwab ki tabir nazar aai hai | Shaahi Shayari
aaj kis KHwab ki tabir nazar aai hai

Ghazal

Aaj kis KHwab ki tabir nazar aai hai

Tariq Naeem

;

aaj kis KHwab ki tabir nazar aai hai
ek chhanakti hui zanjir nazar aai hai

main ne jitne bhi sawalon mein use dekha hai
zindagi dard ki taswir nazar aai hai

KHud bhi miT jaun ye duniya bhi miTata jaun
bas yahi surat-e-tamir nazar aai hai

raat ro ro ke gizari hai charaghon ki tarah
tab kahin harf mein tasir nazar aai hai

barish-e-hijr ke aane ka hi imkan na ho
chashm-e-jaanan mujhe nam-gir nazar aai hai

dard ko aankh banaya hai to phir ja ke kahin
dil pe likkhi hui tahrir nazar nazar aai hai

sham hoti thi suhani pa tere hijr ke baad
aaj ye bhi mujhe dil-gir nazar aai hai