aaj jis par ye parda-dari hai
kal usi ki to dawe-dari hai
aaina mujh se kah raha hai yahi
mere chehre pe be-qarari hai
aaj wada wo phir nibhaega
wadi o gul pe kya KHumari hai
teri aankhen ye saf kahti hai
raat kitni hasin guzari hai

Ghazal
Aaj jis par ye parda-dari hai
Waseem Akram