aaj itna jalao ki pighal jae mera jism
shayad isi surat hi sukun pae mera jism
aaghosh mein le kar mujhe is zor se bhencho!
shishe ki tarah chhan se chaTaKH jae mera jism
ya dawa-e-mahtab-e-tajalli na kare wo
ya nur ki kirnon se wo nahlae mera jism
kis shahr-e-tilismat mein le aaya taKHayyul
jis samt nazar jae nazar aae mera jism
aaine ki surat mein meri zat ke do ruKH
jaan mahw-e-fughan hai to ghazal gae mera jism
'tanwir' paDho ism koi radd-e-bala ka
ghere mein liye baiThe hain kuchh sae mera jism
Ghazal
Aaj itna jalao ki pighal jae mera jism
Tanveer Sipra