aaj hai kuchh sabab aaj ki shab na ja
jaan hai zer-e-lab aaj ki shab na ja
kya pata phir tere wasl ki saaten
hun kahan kaise kab aaj ki shab na ja
chand kya phul kya shama kya rang kya
hain pareshan sab aaj ki shab na ja
waqt ko kaise tartib dete hain log
aa sikha de ye ab aaj ki shab na ja
wo sahar bhi tujhi se sahar thi 'asad'
shab bhi tum se hai shab aaj ki shab na ja

Ghazal
Aaj hai kuchh sabab aaj ki shab na ja
Subhan Asad