aaj barson mein to qismat se mulaqat hui
aap munh pher ke baiThe hain ye kya baat hui
uD gai KHak-e-dil-o-jaan to wo rone baiThe
bastiyan jal gain jab TuT ke barsat hui
tum mere sath the jab tak to safar raushan tha
shama jis moD pe chhuTi hai wahin raat hui
is mohabbat se mila hai wo sitamgar hum se
jitne shikwe na hue utni mudaraat hui
ek lamha tha ajab us ki shanasai ka
kitne nadida zamanon se mulaqat hui
qatl ho jati hai is daur mein dil ki aawaz
mujh pe talwar na TuTi ye karamat hui
ganw ke ganw bujhane ko hawa aai thi
mere masum charaghon se shuruat hui
shaeri pahle rasulon ki dua thi 'qaisar'
aaj is ahd mein ek shoabda-e-zat hui
Ghazal
Aaj barson mein to qismat se mulaqat hui
Qaisar-ul-Jafri