aaj aap mere haal pe karte hain tassuf
ashfaq inayat karam mehr talattuf
ai girya pas-e-qafila dil nam hai ek yar
ye KHasta bhi nibh jae jo yak dam ho tawaqquf
hai Dol to nala ka wahi dil bhi wahi lek
tasir na ab is mein hai na is mein tasarruf
sufi hai wo be-ilm ho jo hasti se apni
kis kaam paDha tu ne jo yun ilm-e-tasawwuf
KHamoshi bhi kuchh turfa latifa hai ki 'qaem'
karna paDe jis mein na tasanno na takalluf
Ghazal
Aaj aap mere haal pe karte hain tassuf
Qayem Chandpuri