اردو हिंदी
Aaiye aaj aap se kuchh raaz ki baaten karen | Shaahi Shayari
aaiye aaj aap se kuchh raaz ki baaten karen

Ghazal

Aaiye aaj aap se kuchh raaz ki baaten karen

Minu Bakshi

;

aaiye aaj aap se kuchh raaz ki baaten karen
us hasin us ki nigah-e-naz ki baaten karen

wo ki jis ne muskura ke kah diya tha haal-e-dil
us tabassum us hasin andaz ki baaten karen

tha wo bachpan ya jawani jab suna tha nam-e-ishq
aaj phir un ajnabi alfaz ki baaten karen

yaad hai ab tak hamein sahma sa wo izhaar-e-ishq
band aankhen kanpti aawaz ki baaten karen

thak gae duniya ki KHatir KHud ko de de kar fareb
aaj phir apne dil-e-na-saz ki baaten karen

hai bahut mayus ye dil dekh kar anjam-e-ishq
phir bhi hum ai ham-nashin aaghaz ki baaten karen

hijr ki rut sahn-e-jism-o-jaan se ruKHsat ho gai
KHushnuma mausam hai ab hum raaz ki baaten karen