aaina samne rakha hoga
us ka chehra magar jhuka hoga
kaise pala hai beTe ko main ne
bhul jaega jab baDa hoga
shairi jam aur tanhai
hijr ki shab mein aur kya hoga
ek arse se sunte aae hain
jald hi desh ka bhala hoga
tha na malum sath rah kar bhi
darmiyan itna fasla hoga
ye mohabbat ka khel hai jaanan
is ki har chaal mein maza hoga
dekh haalat muflison ke yahan
main nahin manta KHuda hoga
hongi jis ghar mein beTiyan yaro
us ka mahaul KHushnuma hoga
subh ke tin baj gae 'amabar'
uTh ja 'rahul' bhi uTh gaya hoga
Ghazal
Aaina samne rakha hoga
Abhishek Kumar Amber