aaina aaina kyun kar dekhe
apne hi dagh nazar bhar dekhe
tum ne jalwe ko bhi chhuna chaha
hum ne KHushbu mein bhi paikar dekhe
aap insan hua surat ka asir
shisha TuTe to sikandar dekhe
hum ne aawaz lagai sar-e-tur
rup jab shauq se kamtar dekhe
jalwa-e-tur baja tha lekin
aankh mushtaq thi paikar dekhe
dard ko KHauf bikhar jaane ka
aankh ko shauq ki baDh kar dekhe
mustaqil sab ka pata ek hi tha
kis ne faghfur-o-sikandar dekhe

Ghazal
Aaina aaina kyun kar dekhe
Ehsan Akbar