اردو हिंदी
Aaine se parda kar ke dekha jae | Shaahi Shayari
aaine se parda kar ke dekha jae

Ghazal

Aaine se parda kar ke dekha jae

Bharat Bhushan Pant

;

aaine se parda kar ke dekha jae
KHud ko itna tanha kar ke dekha jae

hum bhi to dekhen hum kitne sachche hain
KHud se bhi ek wada kar ke dekha jae

diwaron ko chhoTa karna mushkil hai
apne qad ko uncha kar ke dekha jae

raaton mein ek suraj bhi dikh jaega
har manzar ko ulTa kar ke dekha jae

dariya ne bhi tarsaya hai pyason ko
dariya ko bhi pyasa kar ke dekha jae

ab aankhon se aur na dekha jaega
ab aankhon ko andha kar ke dekha jae

ye sapne to bilkul sachche lagte hain
in sapnon ko sachcha kar ke dekha jae

ghar se nikal kar jata hun main roz kahan
ek din apna pichha kar ke dekha jae