aaine ke aks se gul sa badan maila hua
subh ke partaw se rang-e-yasman maila hua
saf ai uryani-e-wahshat kahe deta hun main
post khinchunga agar mera badan maila hua
baad murdan bhi takalluf se kudurat dil mein hai
sohbat-e-kafur se apna badan maila hua
kya teri talwar bhi mujh se ghubar-alud thi
KHun-e-dil ka rang kyun ai tegh-zan maila hua
shaeron mein guftugu aai kudurat ki baham
saf kahta hun ki ab rang-e-suKHan maila hua
wasl ki shab baaton baaton mein mukaddar ho gai
guftugu-e-bosa se rang-e-dahan maila hua
saf-goi se ghubar aaine mein aaya 'munir'
meri baaton se dil-e-ahl-e-suKHan maila hua
Ghazal
Aaine ke aks se gul sa badan maila hua
Muneer Shikohabadi