aaina mera badal kar le gaya
kis liye mujh ko safar par le gaya
sab sukun mera samundar le gaya
nind aankhon ki chura kar le gaya
KHali daman ghar mein aaya aur phir
dhup jitni thi wo bhar kar le gaya
main taaqub mein raha jis ke liye
us ko koi ghar se bahar le gaya
jaane us ko kya nazar aaya yahan
bandh kar mera hi wo ghar le gaya
ghar tahi-daman wo jata kis tarah
dard-o-gham jo tha bacha kar le gaya
Ghazal
Aaina mera badal kar le gaya
Sahil Ahmad