aaina KHud-numai un ko sikha raha hai
kya qahr kar raha hai kya zulm Dha raha hai
aansu baha raha hai wo soz-e-dil pe mere
KHud hi laga ke zalim KHud hi bujha raha hai
un ko to hum ne chaha wo yun sata rahe hain
ai charKH-e-kina-parwar to kyun sata raha hai
aazurda ghair se hain leta hun main balaen
ruThe hain wo kisi se koi mana raha hai
kuche mein un buton ne rahne diya na shayad
sunte hain ab 'rasa' bhi kabe ko ja raha hai

Ghazal
Aaina KHud-numai un ko sikha raha hai
Rasa Rampuri