aaina-e-hayat pe chhaya ghubar hai
jis ki taraf uThaen nazar dil-figar hai
taswir teri ahd-e-hasin ka hai ek naqsh
jo mere shahr-e-dil mein teri yaadgar hai
teri sharab-pash-nigahon ke faiz se
ab be-piye hi mujh ko surur-o-KHumar hai
KHushbu tumhaari DhunDhti phirti rahi hamein
pahunchi wahin jahan pe hamara mazar hai
chaho jo tum na mujh se KHafa ho kabhi bahaar
duniya-e-rang-o-bu pe tumhein iKHtiyar hai
aa jao tum bahaar ki takmil ke liye
mausam hai dil-fareb faza sazgar hai
'sartaj' qasr-e-zist imarat ajib hai
ne gosha-e-panah na rah-e-farar hai

Ghazal
Aaina-e-hayat pe chhaya ghubar hai
Sartaj Alam Abidi