اردو हिंदी
Aaina-dil dagh-e-tamanna ke liye tha | Shaahi Shayari
aaina-dil dagh-e-tamanna ke liye tha

Ghazal

Aaina-dil dagh-e-tamanna ke liye tha

Samad Ansari

;

aaina-dil dagh-e-tamanna ke liye tha
sine ka sadaf ek dur-e-yakta ke liye tha

jo tairne wale the wo manjdhaar se guzre
dariya ka kinara kaf-e-dariya ke liye tha

kyun hath mein tere mujhe patthar nazar aaya
diwana agar tha to main duniya ke liye tha

guzra na tere baad koi kucha-e-dil se
ye rasta ek naqsh-e-kaf-e-pa ke liye tha

diwar se rukta nahin diwar ka saya
zabt-e-gham-e-mazi gham-e-farda ke liye tha

koi nahin mahfuz yahan dast-e-hawas se
yusuf ka jo daman tha zuleKHa ke liye tha

be-parda chamakta hai jo ab mahfil-e-shab mein
wo chand 'samad' kal yad-e-baiza ke liye tha