aain-e-asiri ke ye mear nae hain
zindan to wahi hai dar-o-diwar nae hain
iKHlas makinon ka to dekha nahin ab tak
han shahr ke sab kucha-o-bazar nae hain
dushman se to kuchh KHauf na ab hai na kabhi tha
Dar ye hai ki ab mere taraf-dar nae hain
baqi nahin pahli si wo taqdis-e-mohabbat
ab husn naya us ke parastar nae hain
pahchan liya hum ne tumhein rah-numao
baaten wahi pairaya-e-izhaar nae hain
sahma hua sannaTa hai maKHdush fazaen
ab dekh ke chalega ye aasar nae hain
bazar ki raunaq wahi pahli si hai 'kausar'
itna hai ki is bar KHaridar nae hain

Ghazal
Aain-e-asiri ke ye mear nae hain
Maher Chand Kausar