aai id wa dil mein nahin kuchh hawa-e-id
ai kash mere pas tu aata bajae id
qurban sau tarah se kiya tujh par aap ko
tu bhi kabhu to jaan na aaya bajae id
jitne hain jama-zeb jahan mein sabhon ke bich
sajti hai tere bar mein sarapa qaba-e-id

Ghazal
Aai id wa dil mein nahin kuchh hawa-e-id
Shaikh Zahuruddin Hatim