اردو हिंदी
Aai hai kuchh na puchh qayamat kahan kahan | Shaahi Shayari
aai hai kuchh na puchh qayamat kahan kahan

Ghazal

Aai hai kuchh na puchh qayamat kahan kahan

Firaq Gorakhpuri

;

aai hai kuchh na puchh qayamat kahan kahan
uf le gai hai mujh ko mohabbat kahan kahan

betabi-o-sukun ki huin manzilen tamam
bahlaen tujh se chhuT ke tabiat kahan kahan

furqat ho ya visal wahi iztirab hai
tera asar hai ai gham-e-furqat kahan kahan

har jumbish-e-nigah mein sad-kaif be-KHudi
bharti phiregi husn ki niyyat kahan kahan

rah-e-talab mein chhoD diya dil ka sath bhi
phirte liye hue ye musibat kahan kahan

dil ke ufaq tak ab to hain parchhaiyan teri
le jae ab to dekh ye wahshat kahan kahan

ai nargis-e-siyah bata de tere nisar
kis kis ko hai ye hosh ye ghaflat kahan kahan

nairang-e-ishq ki hai koi intiha ki ye
ye gham kahan kahan ye masarrat kahan kahan

beganagi par us ki zamane se ehtiraaz
dar-parda us ada ki shikayat kahan kahan

farq aa gaya tha daur-e-hayat-o-mamat mein
aai hai aaj yaad wo surat kahan kahan

jaise fana baqa mein bhi koi kami si ho
mujh ko paDi hai teri zarurat kahan kahan

duniya se ai dal itni tabiat bhari na thi
tere liye uThai nadamat kahan kahan

ab imtiyaz-e-ishq-o-hawas bhi nahin raha
hoti hai teri chashm-e-inayat kahan kahan

har gam par tariq-e-mohabbat mein maut thi
is rah mein khule dar-e-rahmat kahan kahan

hosh-o-junun bhi ab to bas ek baat hain 'firaq'
hoti hai us nazar ki shararat kahan kahan