اردو हिंदी
Aai bahaar shorish-e-tiflan ko kya hua | Shaahi Shayari
aai bahaar shorish-e-tiflan ko kya hua

Ghazal

Aai bahaar shorish-e-tiflan ko kya hua

Taban Abdul Hai

;

aai bahaar shorish-e-tiflan ko kya hua
ahl-e-junun kidhar gae yaran ko kya hua

ghunche lahu mein tar nazar aate hain tah-ba-tah
is rashk-e-gul ko dekh gulistan ko kya hua

yaqut-e-lab tera hua kyun KHat se jurm-war
zalim ye rashk-e-lal-e-badaKHshan ko kya hua

us jama-zeb ghuncha-dahan ko chaman mein dekh
hairan hun main ki gul ke gareban ko kya hua

aane se tere KHat ke ye kyun dil-e-girafta hai
batla ki teri zulf-e-pareshan ko kya hua

kyun gard baad se ye uData hai sar pe KHak
hun main to ja-e-qais bayaban ko kya hua

rote hi tere gham mein guzarti hai us ki umr
puchha kabhi na tu ne ki 'taban' ko kya hua