اردو हिंदी
Aai ai gul-ezar kya kahna | Shaahi Shayari
aai ai gul-ezar kya kahna

Ghazal

Aai ai gul-ezar kya kahna

Wazir Ali Saba Lakhnavi

;

aai ai gul-ezar kya kahna
KHub aai bahaar kya kahna

mehndi mal kar hai choT marjaan par
hath lala-nigar kya kahna

mujh se aashiq ke aur yun nafrin
wah shabash yar kya kahna

barq bhi darkinar rah jae
han dil-e-be-qarar kya kahna

lakh bar imtihan-e-ishq kiya
na kaha ek bar kya kahna

bahs-e-girya mein abr bol gaya
dida-e-ashk-bar kya kahna

main to rota hun aap hanste hain
yahi hota hai yar kya kahna

saKHti-e-ishq jhel le ai dil
wah re burdbar kya kahna

mar gae hum magar na rahm aaya
wahi tewar hain yar kya kahna

KHar KHar-e-gham-e-dil-e-pur-dard
chiKH kar ai hazar kya kahna

kah to lalkar len raqibon ko
baat rakh li nigar kya kahna

josh-e-ulfat mein aur zabt ai dil
jabr par iKHtiyar kya kahna

yun to jo gul hai KHub hai lekin
tera ai gul-ezar kya kahna

ai 'saba' dawa-e-anal-haq hai
KHub soche ho yar kya kahna