aah ab tak to be-asar na hui
kuchh tumhin ko meri KHabar na hui
sham se fikr-e-subh kya shab-e-hijr
mar rahenge agar sahar na hui
kis se dil ka suragh paenge hum
tu hi ai aarzu agar na hui
KHalq samjhi mujhi ko diwana
chaara farmae chaaragar na hui
kuchh nazar kah gai zaban na khuli
baat un se hui magar na hui
shikwa kya un se KHun-e-nahaq ka
zindagi thi hui basar na hui
hashr ka din bhi Dhal gaya 'fani'
dil ki rudad muKHtasar na hui
Ghazal
Aah ab tak to be-asar na hui
Fani Badayuni