اردو हिंदी
Aaghosh mein jo jalwagar ek naznin hua | Shaahi Shayari
aaghosh mein jo jalwagar ek naznin hua

Ghazal

Aaghosh mein jo jalwagar ek naznin hua

Amanat Lakhnavi

;

aaghosh mein jo jalwagar ek naznin hua
angushtari bana mera tan wo nagin hua

raunaq-faza lahad pe jo wo mah-jabin hua
gumbad hamari qabr ka charKH-e-barin hua

kanda jahan mein koi na aisa nagin hua
jaisa ki tera nam mere dil-nashin hua

raushan hua ye mujh pe ki fanus mein hai shama
hath us ka jalwagar jo tah-e-astin hua

rakhta hai KHak par wo qadam jab ki naz se
kahta hai aasman na kyun main zamin hua

raushan shabab mein jo hui sham-e-ru-e-yar
dud-e-charagh husn-e-KHat-e-ambarin hua

ya rab gira adu pe 'amanat' ke tu wo barq
do TukDe jis se shahpar-e-ruhul-amin hua