aage kya tum sa jahan mein koi mahbub na tha
kya tumhin KHub bane aur koi KHub na tha
in dinon hum se jo wahshi ki tarah bhaDko ho
ye to milne ka tumhaare kabhu uslub na tha
nama-bar dil ki tasalli ke liye bhejun hun
warna ahwal mera qabil-e-maktub na tha
taqat ab taq hui sabr-o-shakebai ki
kab talak sabr kare dil mera ayyub na tha
ghalba-e-ishq ne 'hatim' ko pachhaDa aaKHir
zor mein apne wo itna bhi to maghlub na tha
Ghazal
Aage kya tum sa jahan mein koi mahbub na tha
Shaikh Zahuruddin Hatim