aage baDhe na qissa-e-ishq-e-butan se hum 
sab kuchh kaha magar na khule raazdan se hum 
ab bhagte hain saya-e-ishq-e-butan se hum 
kuchh dil se hain Dare hue kuchh aasman se hum 
hanste hain us ke girya-e-be-iKHtiyar par 
bhule hain baat kah ke koi raazdan se hum 
ab shauq se bigaD ke hi baaten kiya karo 
kuchh pa gae hain aap ke tarz-e-bayan se hum 
jannat mein to nahin agar ye zaKHm-e-tegh-e-ishq 
badlenge tujh ko zindagi-e-jawedan se hum
 
        Ghazal
Aage baDhe na qissa-e-ishq-e-butan se hum
Altaf Hussain Hali

