aag hi aag hai gulshan ye koi kya jaane 
kis ne phunka hai nasheman ye koi kya jaane 
na kahin sozan-o-rishta na kahin baKHiya-gari 
sar-ba-sar chaak hai daman ye koi kya jaane 
dekhte phirte hain log aaine sayyaron ke 
dil ka gosha bhi hai darpan ye koi kya jaane 
husn har haal mein hai husn paraganda naqab 
koi parda hai na chilman ye koi kya jaane 
'arsh' uncha tha sar-e-fan kabhi ya faKHr o ghurur 
ab tah-e-tegh hai gardan ye koi kya jaane
        Ghazal
Aag hi aag hai gulshan ye koi kya jaane
Arsh Malsiyani

