aag hai pani hai miTTi hai hawa hai mujh mein 
aur phir manna paDta hai KHuda hai mujh mein 
ab to le de ke wahi shaKHs bacha hai mujh mein 
mujh ko mujh se jo juda kar ke chhupa hai mujh mein 
jitne mausam hain sabhi jaise kahin mil jaen 
in dinon kaise bataun jo faza hai mujh mein 
aaina ye to batata hai main kya hun lekin 
aaina is pe hai KHamosh ki kya hai mujh mein 
ab to bas jaan hi dene ki hai bari ai 'nur' 
main kahan tak karun sabit ki wafa hai mujh mein
 
        Ghazal
Aag hai pani hai miTTi hai hawa hai mujh mein
Krishn Bihari Noor

