aag dekhun kabhi jalta hua bistar dekhun 
raat aae to yahin KHwab-e-mukarrar dekhun 
ek bechain samundar hai mere jism mein qaid 
TuT jae jo ye diwar to manzar dekhun 
raat gahri hai bahut raaz na degi apna 
main to suraj bhi nahin hun ki utar kar dekhun 
KHud pe kya bit gai itne dinon mein tujh bin 
ye bhi himmat nahin ab jhank ke andar dekhun 
koi is daur mein elan-e-nabuwat karta 
aarzu thi ki KHuda-saz payambar dekhun 
ek sannaTa hun patthar ke jigar mein paiwast 
main koi but to nahin hun ki nikal kar dekhun 
yun nashe se kabhi do chaar tera gham ho ki main 
band aankhon se khuli aankh ka manzar dekhun 
oDh kar KHak 'mujibi' sunun dushnam-e-jahan 
ye tamasha hi kisi roz miyan kar dekhun
        Ghazal
Aag dekhun kabhi jalta hua bistar dekhun
Siddique Mujibi

