aaen aansu agar aankhon mein to bas pi jaen
haal sab puchhte hain hum na kahin bhi jaen
dekhte ho jo kabhi mahw-e-suKHan KHud se hamein
hain wo baaten bhi ki KHud se jo faqat ki jaen
hum kai roz se be-wajh bahut KHush hain chalo
zindagi ki ye adaen bhi to dekhi jaen
hum to yun chup hain ki kya baat kisi se ki jae
phir bhi munh se kai baaten to nikal hi jaen
rah chalte main jise dekhta hun lagta hai
jaise be-wajh si aankhen hain ki takti jaen
kya milen 'talKH' kisi se kabhi aate jate
ghar ki chaukhaT pe qadam rakh ke palaT bhi jaen
Ghazal
Aaen aansu agar aankhon mein to bas pi jaen
Manmohan Talkh