aaega koi chal ke KHizan se bahaar mein
sadiyan guzar gai hain isi intizar mein
chhiDte hi saz-e-bazm mein koi na tha kahin
wo kaun tha jo bol raha tha sitar mein
ye aur baat hai koi mahke koi chubhe
gulshan to jitna gul mein hai utna hai KHar mein
apni tarah se duniya badalne ke waste
mera hi ek ghar hai mere iKHtiyar mein
tishna-labi ne ret ko dariya bana diya
pani kahan tha warna kisi reg-zar mein
masruf gorkan ko bhi shayad pata nahin
wo KHud khaDa hua hai faza ki qatar mein
Ghazal
Aaega koi chal ke KHizan se bahaar mein
Nida Fazli