اردو हिंदी
Aae the jis taraf se wo ek din udhar gae | Shaahi Shayari
aae the jis taraf se wo ek din udhar gae

Ghazal

Aae the jis taraf se wo ek din udhar gae

Maratib Akhtar

;

aae the jis taraf se wo ek din udhar gae
bargad ka peD kaT gaya sadhu guzar gae

kya zindagi mili unhen tufan ki god mein
do jism ek jism hue aur mar gae

karne lage qayas kahin qatl ho gaya
aandhi ka rang surKH tha sab log Dar gae

ab mujh ko bhul-bhaal gae sab muashqe
sawan ki rut guzar gai dariya utar gae

ek jism mein utar gaya ek sal din-ba-din
ek ek kar ke sahn mein patte bikhar gae

chhup kar mile bichhaD gae aur phir na mil sake
ek pal mein dastan ki takmil kar gae