aadmi na itna bhi dur ho zamane se
subh ko juda samjhe sham ke fasane se
dekh tiflak-e-nadan qadr kar buzurgon ki
gutthiyan na suljhengi mazhaka uDane se
zaKHm-e-sar ke diwane zaKHm-e-dil ka qail ho
zindagi sanwarti hai dil pe choT khane se
mutrib-e-junun-saman tu na chheD ye naghma
dhun KHarab hoti hai tere gungunane se
garmi-e-suKHan se kuchh kaam ban nahin sakta
mil hi jaegi manzil do-qadam baDhane se
Ghazal
Aadmi na itna bhi dur ho zamane se
Shakeel Badayuni