aadat se un ki dil ko KHushi bhi hai gham bhi hai
ye lutf hai sitam bhi hai uzr-e-sitam bhi hai
ulfat mujhe jatate ho dil mein bhi dard hai
rone ka munh banate ho aankhon mein nam bhi hai
is but ka wasl tha to KHudai ka aish tha
ye jaante na the ki zamane mein gham bhi hai
taskin mere dil ki aur us bewafa ka qaul
dil mein fareb bhi hai labon par qasam bhi hai
ab aao mil ke so rahen takrar ho chuki
aankhon mein nind bhi hai bahut raat kam bhi hai
naumidi bhi hai wasl se us ke umid bhi
kuchh dard-e-dil baDha bhi hai kuchh ranj kam bhi hai
ye baat gar na ho to kare kaun hausla
milna kisi ka sahl bhi hai aur alam bhi hai
jata hai shak bhi kar gaya hai wahm mein wo shoKH
kuche mein ghair hi ke nishan-e-qadam bhi hai
baham tapak bhi hain kabhi ranjishen bhi hain
lutf-o-karam bhi hai kabhi jaur-o-sitam bhi hai
aa jaen wo magar mujhe aata nahin yaqin
qasid ka jo hai qaul wo KHat mein raqam bhi hai
bigDe hue hain aaj KHuda KHair hi kare
kuchh bal bhi hai jabin pe kuchh abru pe KHam bhi hai
mar jate hum to kab ke ajal dekhti hai tu
fursat kisi ke gham se hamein koi dam bhi hai
kahne ko do makan hain kin to hai ek hi
bait-us-sanam hai jo wahi bait-ul-haram bhi hai
yun kah ke bhul jaana ye KHu aap hi ki hai
mujh ko wo yaad ahd bhi hai wo qasam bhi hai
jab kuchh kahun to kahte hain ye phir sununga main
phir aisa koi waqt bhi hai koi dam bhi hai
kaisa visal o hijr agar fahm hai 'nizam'
har haal mein juda bhi hai wo aur baham bhi hai
Ghazal
Aadat se unki dil ko KHushi bhi hai gham bhi hai
Nizam Rampuri