aadab-e-ashiqi se begana kah rahi hai
meri nazar mujhi ko diwana kah rahi hai
har aah-e-sirr-e-paiham dil se nikal nikal kar
dil ki tabahiyon ka afsana kah rahi hai
is darja hai musallat diwangi ka aalam
diwangi bhi mujh ko diwana kah rahi hai
ye inqilab-e-dauran ye aish-o-gham ke unwan
goya zaban-e-fitrat afsana kah rahi hai
meri zaban unhin se un ke sitam ka qissa
yun dab ke kah rahi hai goya na kah rahi hai
ai barq-e-fitna saman unwan taza koi
ye kya suna sunaya afsana kah rahi hai
hun zinda ek muraqqa main surat-afrin ka
duniya 'shakil' mera afsana kah rahi hai
Ghazal
Aadab-e-ashiqi se begana kah rahi hai
Shakeel Badayuni