aabru ulfat mein agar chahiye
rakhni sada chashm ko tar chahiye
dil to tujhe de hi chuke jaan bhi
lijiye hazir hai agar chahiye
yar mile ya na mile subh-o-sham
kucha-e-jaanan mein guzar chahiye
nam bhi nam ka na raha chashm mein
ab tu girye laKHt-e-jigar chahiye
tir-e-nigah wo hai ki jis tir ke
samne hone ko jigar chahiye
ab ki bache ji to kisu ke tain
phir na kahen bar-e-digar chahiye
dil bhi jawahar hai wa-lekin huzur
is ke parakhne ko nazar chahiye
Ghazal
Aabru ulfat mein agar chahiye
Gulam Yahya Huzur Azimabadi