aabla-pa koi guzra tha jo pichhle san mein
surKH kanTon ki bahaar aai hai ab ke ban mein
dekhna rang-e-badan yar ke pairahan mein
chandni dudh si chhiTki hai mere aangan mein
dekhna dida-waro aamad-e-tufan to nahin
Tapki hai dard ki ek bund mere daman mein
main ham-aghosh-e-sanam tha magar a pir-e-haram
ye shikan kaise paDi aap ke pairahan mein
kuchh na kuchh aaj asiron ne kaha to hai zarur
ek ek gul se lipaTti hai saba gulshan mein
sahal itne bhi nahin ai sitam-ijad ki hum
tham lete hain gareban diwane-pan mein
sar taslim nahin bazu-e-qatil ka jawab
aaKHirash mare gae KHud bhi masiha an mein
ja rahe ho to zara dekhna tum bhi 'majruh'
meri aankhen wahin zindan ke kisi rauzan mein
Ghazal
Aabla-pa koi guzra tha jo pichhle san mein
Majrooh Sultanpuri