aab-e-hayat ja ke kisu ne piya to kya
manind-e-KHizr jag mein akela jiya to kya
shirin-laban sin sang-dilon ko asar nahin
farhad kaam koh-kani ka kiya to kya
jalna lagan mein shama-sifat saKHt kaam hai
parwana jun shitab abas ji diya to kya
nasur ki sifat hai na hoga kabhu wo band
jarrah zaKHm-e-ishq kun aa kar siya to kya
mohtajgi sun mujh kun nahin ek dam faragh
haq ne jahan mein nam kun 'hatim' kiya to kya
Ghazal
Aab-e-hayat ja ke kisu ne piya to kya
Shaikh Zahuruddin Hatim