aa nikal ke maidan mein do-ruKHi ke KHane se
kaam chal nahin sakta ab kisi bahane se
ahd-e-inqalab aaya daur-e-aftab aaya
muntazir thin ye aankhen jis ki ek zamane se
ab zamin gaegi hal ke saz par naghme
wadiyon mein nachenge har taraf tarane se
ahl-e-dil ugaenge KHak se mah o anjum
ab guhar subuk hoga jau ke ek dane se
manchale bunenge ab rang-o-bu ke pairahan
ab sanwar ke niklega husn kar-KHane se
aam hoga ab hamdam sab pe faiz fitrat ka
bhar sakenge ab daman hum bhi is KHazane se
main ki ek mehnat-kash main ki tirgi-dushman
subh-e-nau ibarat hai mere muskurane se
KHud-kushi hi ras aai dekh bad-nasibon ko!
KHud se bhi gurezan hain bhag kar zamane se
ab junun pe wo saat aa paDi ki ai 'majruh'
aaj zaKHm-e-sar behtar dil pe choT khane se
Ghazal
Aa nikal ke maidan mein do-ruKHi ke KHane se
Majrooh Sultanpuri