اردو हिंदी
Aa ke wo mujh KHasta-jaan par yun karam farma gaya | Shaahi Shayari
aa ke wo mujh KHasta-jaan par yun karam farma gaya

Ghazal

Aa ke wo mujh KHasta-jaan par yun karam farma gaya

Hameed Jalandhari

;

aa ke wo mujh KHasta-jaan par yun karam farma gaya
koi dam baiTha dil-e-nashad ko bahla gaya

kaun la sakta hai tab us ke ruKH-e-pur-nur ki
jis taraf se ho ke guzra barq si lahra gaya

aankh bhar kar dekh lena kuchh KHata aisi na thi
kya KHabar kyun un ko mujh par itna ghussa aa gaya

phir gai ek aur hi duniya nazar ke samne
baiThe baiThe kya bataun kya mujhe yaad aa gaya

yak-ba-yak maghmum ke chehre pe raunaq aa gai
kaun jaane aankhon aankhon mein wo kya samjha gaya

yun to hum ne bhi use dekha hai lekin ai 'hamid'
jaane tujh ko kaun sa andaz us ka bha gaya