aa hi jaegi sahar matla-e-imkan to khula
na sahi bab-e-qafas rauzan-e-zindan to khula
le ke aai to saba us gul-e-chini ka payam
wo sahi zaKHm ki surat lab-e-KHandan to khula
sail-e-rang aa hi rahega magar ai kisht-e-chaman
zarb-e-mausam to paDi band-e-bahaaran to khula
dil talak pahunche na pahunche magar ai chashm-e-hayat
baad muddat ke tera panja-e-mizhgan to khula
dard ka dard se rishta hai chalo ai 'majruh'
aaj yaron se ye ek uqda-e-asan to khula

Ghazal
Aa hi jaegi sahar matla-e-imkan to khula
Majrooh Sultanpuri