aa apne dil mein meri tamanna liye hue
shauq-e-kalam o zauq-e-tamasha liye hue
dil le ke KHud ko rahte hain kya kya liye hue
shishe wahi to hain meri duniya liye hue
mahrumiyon pe dil ki miTa ja raha hun main
hai KHak tera naqsh-e-kaf-e-pa liye hue
tariki-e-faza ka shikayat-guzar hun
sine mein aaftab-e-suwaida liye hue
pahle mere sahaare pe tha kar-o-bar-e-zist
ab main hun zindagi ka sahaara liye hue
ji chahta hai umr-e-mohabbat na KHatm ho
mar jaiye kisi ki tamanna liye hue
apna waqar-e-ishq kabhi aazma ke dekh
hogi jabin-e-husn bhi sajda liye hue
KHush hun ki jaise god mein hai lal-e-shab-charagh
daman mein apne lala-e-sahra liye hue
nash-e-rawan hun zist hai meri fareb-e-zist
phirta hun zindagi ka janaza liye hue
josh-e-junun mein aalam-waraftagi na puchh
sahra se hum guzar gae sahra liye hue
sar un ke aastan pe jo pahunche to ho yaqin
sauda liye hue hai ki sajda liye hue
hum tur par gae bhi to is shan se gae
musa khaDe rahe yad-e-baiza liye hue
ai husn mere haal mein tu bhi sharik ho
donon jahan ka bar hun tanha liye hue
be-parda be-tayyun o be-nam dekh use
wo to hai sirf nam ka parda liye hue
'simab' qadr-dan hain mere KHan-e-jaansaTh
hazir hua hun fikr ka hadiya liye hue
Ghazal
Aa apne dil mein meri tamanna liye hue
Seemab Akbarabadi