a bulbul-e-KHush-lahn ye shirin suKHani dekh
sad-rang-e-qaba dekh meri gul-badani dekh
har mauj-e-saba par bhi lachak jae hai ai hai
ai shaKH-e-gul-andam ye gul-rez-tani dekh
dil kufa ki manind hua jata hai yarab
a mamba-e-rahmat za-nigah-e-madani dekh
waqif hi nahin tu meri tariKH se naqid
ek bar palaT kar kabhi KHalq-e-hasni dekh
dil lagta hai bahar se jo bosida makan sa
daKHil to kabhi ho ke ye qasr-e-adni dekh
Ghazal
A bulbul-e-KHush-lahn ye shirin suKHani dekh
Afeef Siraj